dhup ko garm na kah saya-e-diwar na dekh
dhuup ko garm na kah sāya-e-dīvār na dekh
tujh ko chalnā hai to phir vaqt kī raftār na dekh
merī fikroñ se ulajh mujh ko samajhne ke liye
duur se mauj meñ uljhī huī patvār na dekh
un kī rūhoñ ko parakh aadmī haiñ bhī yā nahīñ
sirf sūrat pe na jā jubba-o-dastār na dekh
apne āñgan hī meñ kar fikr-e-numū-e-gulshan
koī jannat bhī agar hai pas-e-dīvār na dekh
in damakte hue lamhāt ke jaadū se nikal
vaqt kī chaal samajh shoḳhī-e-raftār na dekh
ġham se laḌnā hai to phir ġham-zada sūrat na banā
zinda rahnā hai to murdoñ ke ye atvār na dekh
mere naġhmāt ko tafrīh ke kānoñ se na sun
raqs kī pyaas hai āñkhoñ meñ to paikār na dekh
qadrdānī ko marātib ke tarāzū meñ na tol
kaun 'afsar' huā yūsuf kā ḳharīdār na dekh
dhup ko garm na kah saya-e-diwar na dekh
tujh ko chalna hai to phir waqt ki raftar na dekh
meri fikron se ulajh mujh ko samajhne ke liye
dur se mauj mein uljhi hui patwar na dekh
un ki ruhon ko parakh aadmi hain bhi ya nahin
sirf surat pe na ja jubba-o-dastar na dekh
apne aangan hi mein kar fikr-e-numu-e-gulshan
koi jannat bhi agar hai pas-e-diwar na dekh
in damakte hue lamhat ke jadu se nikal
waqt ki chaal samajh shoKHi-e-raftar na dekh
gham se laDna hai to phir gham-zada surat na bana
zinda rahna hai to murdon ke ye atwar na dekh
mere naghmat ko tafrih ke kanon se na sun
raqs ki pyas hai aankhon mein to paikar na dekh
qadrdani ko maraatib ke taraazu mein na tol
kaun 'afsar' hua yusuf ka KHaridar na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.