dhup mein jaise kuhasa ek tasawwur aap ka
dhuup meñ jaise kuhāsā ik tasavvur aap kā
hai hasīñ jhoñkā havā kā ik tasavvur aap kā
zehn meñ aa kar kahīñ se gudgudāne lag gayā
dekh kar mujh ko ruvāñsā ik tasavvur aap kā
sīḌhiyāñ kitnī bhī chaḌh luuñ bhuul jaane kī bhale
saañp hai ninānve kā ik tasavvur aap kā
ye nahīñ ho to ḳhalish hai aur ho to bhī ḳhalish
dard hai lekin davā sā ik tasavvur aap kā
rāt-din pīchhe lag rahtā hai saaya sā mire
be-tahāsha bad-havāsā ik tasavvur aap kā
go haqīqat ḳhvāhishoñ par muñh chiḌātī hai magar
hai haqīqat par tamācha ik tasavvur aap kā
dhup mein jaise kuhasa ek tasawwur aap ka
hai hasin jhonka hawa ka ek tasawwur aap ka
zehn mein aa kar kahin se gudgudane lag gaya
dekh kar mujh ko ruwansa ek tasawwur aap ka
siDhiyan kitni bhi chaDh lun bhul jaane ki bhale
sanp hai ninanwe ka ek tasawwur aap ka
ye nahin ho to KHalish hai aur ho to bhi KHalish
dard hai lekin dawa sa ek tasawwur aap ka
raat-din pichhe lag rahta hai saya sa mere
be-tahasha bad-hawasa ek tasawwur aap ka
go haqiqat KHwahishon par munh chiDati hai magar
hai haqiqat par tamacha ek tasawwur aap ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.