dhup mein jal kar rah hua hun
dhuup meñ jal kar raah huā huuñ
jab bhī peḌ se maiñ TuuTā huuñ
begānoñ ke desh meñ koī
apne jaisā DhūñD rahā huuñ
dariyā hī meñ ghar hai merā
phir bhī dariyā se Dartā huuñ
apne zehn kī tahrīroñ ko
dīmak ban kar chaaT rahā huuñ
mujh ko le kar pachhtāoge
maiñ to ik khoTā sikka huuñ
dhup mein jal kar rah hua hun
jab bhi peD se main TuTa hun
beganon ke desh mein koi
apne jaisa DhunD raha hun
dariya hi mein ghar hai mera
phir bhi dariya se Darta hun
apne zehn ki tahriron ko
dimak ban kar chaT raha hun
mujh ko le kar pachhtaoge
main to ek khoTa sikka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.