dhup mein sae se bichhDa to nahin ja sakta
dhup mein sae se bichhDa to nahin ja sakta
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
dhuup meñ saa.e se bichhḌā to nahīñ jā saktā
phir bhī is dil se ye Dar sā to nahīñ jā saktā
jis kī dīvār kisī vaqt bhī gir saktī ho
yaar us kamre meñ Thahrā to nahīñ jā saktā
ruuh aur jism ke jhagḌoñ se hai taklīf magar
ruuh aur jism ko bāñTā to nahīñ jā saktā
apne hamsā.e se raġhbat to hameñ hai lekin
der tak dhuup meñ baiThā to nahīñ jā saktā
koī ummīd nahīñ panchhiyoñ ke aane kī
phir bhī us peḌ ko kaaTā to nahīñ jā saktā
dhup mein sae se bichhDa to nahin ja sakta
phir bhi is dil se ye Dar sa to nahin ja sakta
jis ki diwar kisi waqt bhi gir sakti ho
yar us kamre mein Thahra to nahin ja sakta
ruh aur jism ke jhagDon se hai taklif magar
ruh aur jism ko banTa to nahin ja sakta
apne hamsae se raghbat to hamein hai lekin
der tak dhup mein baiTha to nahin ja sakta
koi ummid nahin panchhiyon ke aane ki
phir bhi us peD ko kaTa to nahin ja sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.