dhup nikli to bataegi hai saya kitna
dhuup niklī to batā.egī hai saaya kitnā
apnā hī jism hai apne se parāyā kitnā
ḳhud-shanāsī ke añdheroñ kī ghanī chhāñv tale
mere aaseb ne ḳhud mujh ko Darāyā kitnā
us se bhī ho na sakā apnī jarāhat kā ilaaj
pyaar bhī us ne kiyā dil se lagāyā kitnā
huuñ vo sarmāya jo luTne pe tahī-dast nahīñ
vaqt ne merī udāsī ko churāyā kitnā
ḳhud se bach kar jo mire dil meñ utar aayā thā
us parinde ko havāoñ ne Darāyā kitnā
maqsad-e-ahl-e-junūñ fāsla-bar-dosh rahā
āgahī ne rah-e-manzil ko ghaTāyā kitnā
āhū-e-fikr-e-ramīda tirī ḳhātir maiñ ne
dasht-e-be-sāya meñ lafzoñ ko sajāyā kitnā
tab kahīñ jā ke khilā ḳhāma-e-rangīñ kā gulāb
apne hī ḳhuun meñ 'ajmal' hai nahāyā kitnā
dhup nikli to bataegi hai saya kitna
apna hi jism hai apne se paraya kitna
KHud-shanasi ke andheron ki ghani chhanw tale
mere aaseb ne KHud mujh ko Daraya kitna
us se bhi ho na saka apni jarahat ka ilaj
pyar bhi us ne kiya dil se lagaya kitna
hun wo sarmaya jo luTne pe tahi-dast nahin
waqt ne meri udasi ko churaya kitna
KHud se bach kar jo mere dil mein utar aaya tha
us parinde ko hawaon ne Daraya kitna
maqsad-e-ahl-e-junun fasla-bar-dosh raha
aagahi ne rah-e-manzil ko ghaTaya kitna
aahu-e-fikr-e-ramida teri KHatir main ne
dasht-e-be-saya mein lafzon ko sajaya kitna
tab kahin ja ke khila KHama-e-rangin ka gulab
apne hi KHun mein 'ajmal' hai nahaya kitna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.