dhup rakh di thi muqaddar ne sirhane mere
dhuup rakh dī thī muqaddar ne sirhāne mere
umr-bhar aag meñ jalte rahe shāne mere
maiñ tire naam kā aamil huuñ vo ab jaan ga.e
hādse ab nahīñ DhūñDheñge Thikāne mere
chāñd sī un kī vo ḳhush-rañg qabā vo dastār
un kī darveshī pe qurbān ḳhazāne mere
mauj-e-rañg aa.ī kuchh is taur ki dil jhuum uThā
hosh gum kar diye sarmast hinā ne mere
phir koī lams mire jism meñ sho.ale bhar de
phir se yuuñ ho ki palaT aa.eñ zamāne mere
jā tujhe chhoḌ diyā ai ġham-e-daurāñ maiñ ne
varna ḳhālī nahīñ jaate haiñ nishāne mere
aisā lagtā thā ki lauT aa.e haiñ guzre hue din
mil ga.e the mujhe kuchh dost purāne mere
zindagī dekh lī maiñ ne tirī duniyā ki jahāñ
vaqt ne chhīn liye ḳhvāb suhāne mere
ab maiñ sāhil pe nahīñ maiñ huuñ tah-e-āb-e-ravāñ
shahr-dar-shahr haiñ hoñToñ pe fasāne mere
gir paḌā sail-e-havādis mire qadmoñ pe 'bashīr'
haath thāme jo buzurgoñ kī duā ne mere
dhup rakh di thi muqaddar ne sirhane mere
umr-bhar aag mein jalte rahe shane mere
main tere nam ka aamil hun wo ab jaan gae
hadse ab nahin DhunDhenge Thikane mere
chand si un ki wo KHush-rang qaba wo dastar
un ki darweshi pe qurban KHazane mere
mauj-e-rang aai kuchh is taur ki dil jhum uTha
hosh gum kar diye sarmast hina ne mere
phir koi lams mere jism mein shoale bhar de
phir se yun ho ki palaT aaen zamane mere
ja tujhe chhoD diya ai gham-e-dauran main ne
warna KHali nahin jate hain nishane mere
aisa lagta tha ki lauT aae hain guzre hue din
mil gae the mujhe kuchh dost purane mere
zindagi dekh li main ne teri duniya ki jahan
waqt ne chhin liye KHwab suhane mere
ab main sahil pe nahin main hun tah-e-ab-e-rawan
shahr-dar-shahr hain honTon pe fasane mere
gir paDa sail-e-hawadis mere qadmon pe 'bashir'
hath thame jo buzurgon ki dua ne mere
- Book : Dairon ke darmiyan (Pg. 23)
- Author : Bashiir Faruqi
- Publication : Bashiir Faruqi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.