dhup se tapte safar mein chhanw ki baaten bhali
dhuup se tapte safar meñ chhāñv kī bāteñ bhalī
panghaToñ par chhapchhapāte paañv kī bāteñ bhalī
har qadam par jo safar meñ hausla detā rahā
aa rahī haiñ yaad phir us gaañv kī bāteñ bhalī
dostoñ ko phir se baazī hārne kā ġham milā
dushmanoñ ko lag rahī haiñ daañv kī bāteñ bhalī
aa.iye ham saath mil kar phir chaleñ us or hī
kal huī thī aap se jis Thāñv kī bāteñ bhalī
dhup se tapte safar mein chhanw ki baaten bhali
panghaTon par chhapchhapate panw ki baaten bhali
har qadam par jo safar mein hausla deta raha
aa rahi hain yaad phir us ganw ki baaten bhali
doston ko phir se bazi haarne ka gham mila
dushmanon ko lag rahi hain danw ki baaten bhali
aaiye hum sath mil kar phir chalen us or hi
kal hui thi aap se jis Thanw ki baaten bhali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.