dhup thi saeban tha hi nahin
dhuup thī sā.ebān thā hī nahīñ
merā koī makān thā hī nahīñ
maiñ jahāñ jā ke lauT aayā huuñ
us ke aage jahān thā hī nahīñ
tum mujhe chhoḌ bhī to sakte ho
ye to mujh ko gumān thā hī nahīñ
aap ro.e the kyoñ bichhaḌte hue
kuchh agar darmiyān thā hī nahīñ
kaise mushkil kā sāmnā karte
hausla jab chaTān thā hī nahīñ
vaqt itnā burā bhī aa.egā
ye kisī ko gumān thā hī nahīñ
hāl-e-dil kis ke sāmne rakhte
jab koī mehrbān thā hī nahīñ
is zamāne ne kar diyā patthar
varna maiñ saḳht-jān thā hī nahīñ
us pe sab kuchh luTā diyā 'āqib'
jo mirā qadr-dān thā hī nahīñ
dhup thi saeban tha hi nahin
mera koi makan tha hi nahin
main jahan ja ke lauT aaya hun
us ke aage jahan tha hi nahin
tum mujhe chhoD bhi to sakte ho
ye to mujh ko guman tha hi nahin
aap roe the kyon bichhaDte hue
kuchh agar darmiyan tha hi nahin
kaise mushkil ka samna karte
hausla jab chaTan tha hi nahin
waqt itna bura bhi aaega
ye kisi ko guman tha hi nahin
haal-e-dil kis ke samne rakhte
jab koi mehrban tha hi nahin
is zamane ne kar diya patthar
warna main saKHt-jaan tha hi nahin
us pe sab kuchh luTa diya 'aqib'
jo mera qadr-dan tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.