dhup uTha li maine apne hisse ki
dhuup uThā lī maiñ ne apne hisse kī
bhar lī thālī maiñ ne apne hisse kī
us kī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kā jañgal thā
niiñd churā lī maiñ ne apne hisse kī
jab bhī añdherā hote dekhā bastī meñ
aag jalā lī maiñ ne apne hisse kī
us ke hisse kā jīvan to daan kiyā
umr bachā lī maiñ ne apne hisse kī
masnad par jhagḌā thā lo ye masnad bhī
kar dī ḳhālī maiñ ne apne hisse kī
bhiiḌ bahut thī bane-banā.e rastoñ meñ
raah nikālī maiñ ne apne hisse kī
kar rakkhī hai aane vaale dinoñ ke naam
rut hariyālī maiñ ne apne hisse kī
dhup uTha li main ne apne hisse ki
bhar li thaali main ne apne hisse ki
us ki aankhon mein KHwabon ka jangal tha
nind chura li main ne apne hisse ki
jab bhi andhera hote dekha basti mein
aag jala li main ne apne hisse ki
us ke hisse ka jiwan to dan kiya
umr bacha li main ne apne hisse ki
masnad par jhagDa tha lo ye masnad bhi
kar di KHali main ne apne hisse ki
bhiD bahut thi bane-banae raston mein
rah nikali main ne apne hisse ki
kar rakkhi hai aane wale dinon ke nam
rut hariyali main ne apne hisse ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.