dhyan aariz ka hua zulf-e-chalipa dekh kar
dhyan aariz ka hua zulf-e-chalipa dekh kar
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
dhyān aariz kā huā zulf-e-chalīpā dekh kar
yaad ka.aba aa gayā mujh ko kalīsā dekh kar
tan ke chalnā hai burā yaañ kā chalan achchhā nahīñ
jo haiñ daanā paañv vo rakhte haiñ duniyā dekh kar
naza.a meñ āñkheñ jo badlīñ merī vo kahne lage
ḳhush hue kyā putliyoñ kā ham tamāshā dekh kar
tauba-e-zāhid ke dam par aa banī ik aan meñ
dast-e-sāqī meñ labālab jām-e-sahbā dekh kar
sach hai bhaa.ī thā phir āḳhir josh-e-ḳhūñ jaatā kahāñ
ro uThā majnūñ mujhe jangal meñ tanhā dekh kar
us lab-e-jāñ-baḳhsh kī mojiz-numā.ī kā yaqīñ
ho gayā 'tālib' ko ejāz-e-masīhā dekh kar
dhyan aariz ka hua zulf-e-chalipa dekh kar
yaad kaba aa gaya mujh ko kalisa dekh kar
tan ke chalna hai bura yan ka chalan achchha nahin
jo hain dana panw wo rakhte hain duniya dekh kar
naza mein aankhen jo badlin meri wo kahne lage
KHush hue kya putliyon ka hum tamasha dekh kar
tauba-e-zahid ke dam par aa bani ek aan mein
dast-e-saqi mein labaalab jam-e-sahba dekh kar
sach hai bhai tha phir aaKHir josh-e-KHun jata kahan
ro uTha majnun mujhe jangal mein tanha dekh kar
us lab-e-jaan-baKHsh ki mojiz-numai ka yaqin
ho gaya 'talib' ko ejaz-e-masiha dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.