dhyan haalanki us ka ghaDi bhar gaya
dhyān hālāñki us kā ghaḌī bhar gayā
thā abhī zaḳhm taaza abhī bhar gayā
kis ne puurī karī tum meñ merī kamī
kaun mujh meñ tumhārī kamī bhar gayā
ik dishā to dikhātā gayā kam se kam
vo jo kaase se dast-e-tahī bhar gayā
ḳhāmushī ne sahī kaan khole mire
bāheñ ḳhālī huiiñ yā'nī jī bhar gayā
maiñ ye samjhā yahī hai rihā.ī mirī
beḌiyoñ meñ jo vo ik kaḌī bhar gayā
dhyan haalanki us ka ghaDi bhar gaya
tha abhi zaKHm taza abhi bhar gaya
kis ne puri kari tum mein meri kami
kaun mujh mein tumhaari kami bhar gaya
ek disha to dikhata gaya kam se kam
wo jo kase se dast-e-tahi bhar gaya
KHamushi ne sahi kan khole mere
bahen KHali huin ya'ni ji bhar gaya
main ye samjha yahi hai rihai meri
beDiyon mein jo wo ek kaDi bhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.