dhyan ka rahi ruk ruk kar pichhe takta hai
dhyān kā raahī ruk ruk kar pīchhe taktā hai
biite lamhe yaad aate haiñ dil rotā hai
band darīche saf-basta gum-sum dīvāreñ
shahar kī vīrānī se mujh ko ḳhauf aatā hai
jaane logoñ kī āvāzeñ kyā kahtī haiñ
jaane har jānib kyuuñ gahrā sannāTā hai
kahte haiñ aa aa ke mujh ko ūñToñ vaale
sahrā meñ bijlī chamkī hai meñh barsā hai
baḌhte hī jaate haiñ dīvāroñ ke saa.e
dhuup kā sundar jauban ab Dhaltā jaatā hai
pahroñ baiThā un kī bātoñ ko suntā huuñ
kāġhaz kī tasvīroñ se jī ḳhush hotā hai
hamdam aise log kahāñ se DhūñDh ke lā.ūñ
jin kī bātoñ se dil kā ġhuncha khiltā hai
dhyan ka rahi ruk ruk kar pichhe takta hai
bite lamhe yaad aate hain dil rota hai
band dariche saf-basta gum-sum diwaren
shahar ki virani se mujh ko KHauf aata hai
jaane logon ki aawazen kya kahti hain
jaane har jaanib kyun gahra sannaTa hai
kahte hain aa aa ke mujh ko unTon wale
sahra mein bijli chamki hai meinh barsa hai
baDhte hi jate hain diwaron ke sae
dhup ka sundar jauban ab Dhalta jata hai
pahron baiTha un ki baaton ko sunta hun
kaghaz ki taswiron se ji KHush hota hai
hamdam aise log kahan se DhunDh ke laun
jin ki baaton se dil ka ghuncha khilta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.