dhyan mein kaun darinda hai jo bedar hua
dhyān meñ kaun darinda hai jo bedār huā
maiñ kisī bū kī jalan pā ke ḳhabar-dār huā
baaġh kī samt se aatī hai havā sahmī huī
kaun is habs ke mausam meñ sadākār huā
us jazīre kī taraf soch-samajh kar jaanā
jo tire mauj meñ aane se numūdār huā
tum ko lagtā hai ki āsān hai duniyā-dārī
kār-e-duniyā meñ paTā huuñ to vafādār huā
is badan par bhī mirā kaam dikhā.ī degā
aur vo kaam ki jaise koī shahkār huā
us ne har soch kī zambīl ulaT kar rakh dī
aur maiñ ḳhvāb dikhāne kā sazā-vār huā
dhyan mein kaun darinda hai jo bedar hua
main kisi bu ki jalan pa ke KHabar-dar hua
bagh ki samt se aati hai hawa sahmi hui
kaun is habs ke mausam mein sadakar hua
us jazire ki taraf soch-samajh kar jaana
jo tere mauj mein aane se numudar hua
tum ko lagta hai ki aasan hai duniya-dari
kar-e-duniya mein paTa hun to wafadar hua
is badan par bhi mera kaam dikhai dega
aur wo kaam ki jaise koi shahkar hua
us ne har soch ki zambil ulaT kar rakh di
aur main KHwab dikhane ka saza-war hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.