dhyan mein late hain yun bhi teri baaton ke charagh
dhyān meñ laate haiñ yuuñ bhī tirī bātoñ ke charāġh
dekhnā chāhte haiñ ham tirī rātoñ ke charāġh
'aam sī shab ko shab-e-ḳhās banā dete haiñ
ik tirī yaad meñ jaltī huī āñkhoñ ke charāġh
shahr-e-yārāñ meñ kahīñ koī shanāsā hī nahīñ
na vo bargad na qabīla na rivājoñ ke charāġh
aaj bhī yaar barastī haiñ kisī kī āñkheñ
aaj bhī koī jalātā hai murādoñ ke charāġh
ḳhush-nasībī se ham ik taaq meñ raushan haiñ yahāñ
kam hī milte haiñ vagarna ye mizājoñ ke charāġh
dhyan mein late hain yun bhi teri baaton ke charagh
dekhna chahte hain hum teri raaton ke charagh
'am si shab ko shab-e-KHas bana dete hain
ek teri yaad mein jalti hui aankhon ke charagh
shahr-e-yaran mein kahin koi shanasa hi nahin
na wo bargad na qabila na riwajon ke charagh
aaj bhi yar barasti hain kisi ki aankhen
aaj bhi koi jalata hai muradon ke charagh
KHush-nasibi se hum ek taq mein raushan hain yahan
kam hi milte hain wagarna ye mizajon ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.