di mai-e-nab to ab saghar-e-jam bhi de de
dī mai-e-nāb to ab sāġhar-e-jam bhī de de
dil diyā hai to mujhe tāb-e-alam bhī de de
bār-e-sar kab se liye ham sar-e-maqtal haiñ khaḌe
bā ḳhudā ab to hameñ izn-e-qalam bhī de de
husn par naaz kā andāz-e-tabassum tauba
kyuuñ na dīvāna tire ishq meñ dam bhī de de
aise fan-kār pe la.anat hai jo chand sikkoñ meñ
dil bhī de zehn bhī de aur qalam bhī de de
shoḳh vo tishna-labī se mirī khele hai 'qamar'
jaam bhī pesh kare aur qasam bhī de de
di mai-e-nab to ab saghar-e-jam bhi de de
dil diya hai to mujhe tab-e-alam bhi de de
bar-e-sar kab se liye hum sar-e-maqtal hain khaDe
ba KHuda ab to hamein izn-e-qalam bhi de de
husn par naz ka andaz-e-tabassum tauba
kyun na diwana tere ishq mein dam bhi de de
aise fan-kar pe lanat hai jo chand sikkon mein
dil bhi de zehn bhi de aur qalam bhi de de
shoKH wo tishna-labi se meri khele hai 'qamar'
jam bhi pesh kare aur qasam bhi de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.