did ke imkan husn-e-irtiqa pane lage
diid ke imkān husn-e-irtiqā paane lage
vo nazar kī had se bāhar bhī nazar aane lage
dekh kar zarroñ ko taare raqs farmāne lage
āsmāñ vaale zamīñ vāloñ kā gun gaane lage
hai isī kā naam dil kā soz merāj-e-hayāt
aadmī ko jab ḳhushī meñ ġham nazar aane lage
soch kar anjām-e-gul ġhunchoñ kī āñkheñ khul ga.iiñ
dekh kar shabnam ke ā.īnoñ ko tharrāne lage
fitratan ab jaag uThī hai manzil-e-zehn-o-shu.ūr
kārvāñ bhaTke hue ḳhud raah par aane lage
gulsitāñ ne pā liyā rāz-e-jamāl-e-jāvedāñ
laakh aa.e ab ḳhizāñ kyoñ phuul murjhāne lage
kis qadar ḳhatre meñ haiñ hosh-o-ḳhirad kī ismateñ
ab to dīvāne bhī farzānoñ ko samjhāne lage
maiñ to kuchh samjhā nahīñ ye isti.āra ai 'shifā'
mere aate hī vo uTh kar bazm se jaane lage
did ke imkan husn-e-irtiqa pane lage
wo nazar ki had se bahar bhi nazar aane lage
dekh kar zarron ko tare raqs farmane lage
aasman wale zamin walon ka gun gane lage
hai isi ka nam dil ka soz meraj-e-hayat
aadmi ko jab KHushi mein gham nazar aane lage
soch kar anjam-e-gul ghunchon ki aankhen khul gain
dekh kar shabnam ke aainon ko tharrane lage
fitratan ab jag uThi hai manzil-e-zehn-o-shuur
karwan bhaTke hue KHud rah par aane lage
gulsitan ne pa liya raaz-e-jamal-e-jawedan
lakh aae ab KHizan kyon phul murjhane lage
kis qadar KHatre mein hain hosh-o-KHirad ki ismaten
ab to diwane bhi farzanon ko samjhane lage
main to kuchh samjha nahin ye istiara ai 'shifa'
mere aate hi wo uTh kar bazm se jaane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.