dida-e-bina hai to hogi hi jalwa-ashna
dīda-e-bīnā hai to hogī hī jalva-āshnā
qatra dariyā-āshnā to sahrā zarra-āshnā
yuuñ to kahne ko sabhī haiñ ek duniyā-āshnā
dil hī jaane hai yahāñ ab kaun kis kā āshnā
itr kitne isti.āroñ ne kiyā un se kashīd
shāḳh par haiñ jhūmte ye phuul sho.ala-āshnā
iktifā nān-e-javīñ par ab kiyā jaatā nahīñ
lazzat-e-kām-o-dahan hai mann-o-salvā-āshnā
ishq ke māroñ ko jab bhī ġhaur se dekhā zarā
dil nahīñ majnūñ-sifat aur aañkh lailā-āshnā
aane vaale vaqt kā timsāl-gar thā us kā fan
'ġhālib'-e-ḳhasta hamāre ahd kā thā āshnā
dida-e-bina hai to hogi hi jalwa-ashna
qatra dariya-ashna to sahra zarra-ashna
yun to kahne ko sabhi hain ek duniya-ashna
dil hi jaane hai yahan ab kaun kis ka aashna
itr kitne istiaron ne kiya un se kashid
shaKH par hain jhumte ye phul shoala-ashna
iktifa nan-e-jawin par ab kiya jata nahin
lazzat-e-kaam-o-dahan hai mann-o-salwa-ashna
ishq ke maron ko jab bhi ghaur se dekha zara
dil nahin majnun-sifat aur aankh laila-ashna
aane wale waqt ka timsal-gar tha us ka fan
'ghaalib'-e-KHasta hamare ahd ka tha aashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.