didar mahtab ka shab bhar nahin hua
dīdār māhtāb kā shab bhar nahīñ huā
raushan mire nasīb kā aḳhtar nahīñ huā
har dam vahī huā na thī ummīd jis kī kuchh
honā jo lāzmī thā vo aksar nahīñ huā
kyā fā.eda charāġh jalāne se roz roz
kirdār hī mirā jo munavvar nahīñ huā
ash.ār kī kuchh aaj bhī aamad hai ho rahī
ye zehn merā aaj bhī banjar nahīñ huā
barsoñ se kitne dariyā haiñ is meñ samā rahe
mīThā magar abhī bhī samundar nahīñ huā
koshish to us ne ḳhuub kī jī jaan se magar
panjoñ ke bal bhī vo mere ham-sar nahīñ huā
ai zindagī kahūñ maiñ tujhe kaise alvidā.a
tujh se abhī hisāb barābar nahīñ huā
'agyāt' ġham na kar haiñ agar tujh meñ ḳhāmiyāñ
duniyā meñ koī shaḳhs bhī yaksar nahīñ huā
didar mahtab ka shab bhar nahin hua
raushan mere nasib ka aKHtar nahin hua
har dam wahi hua na thi ummid jis ki kuchh
hona jo lazmi tha wo aksar nahin hua
kya faeda charagh jalane se roz roz
kirdar hi mera jo munawwar nahin hua
ashaar ki kuchh aaj bhi aamad hai ho rahi
ye zehn mera aaj bhi banjar nahin hua
barson se kitne dariya hain is mein sama rahe
miTha magar abhi bhi samundar nahin hua
koshish to us ne KHub ki ji jaan se magar
panjon ke bal bhi wo mere ham-sar nahin hua
ai zindagi kahun main tujhe kaise alwidaa
tujh se abhi hisab barabar nahin hua
'agyat' gham na kar hain agar tujh mein KHamiyan
duniya mein koi shaKHs bhi yaksar nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.