didar waqt-e-naza mayassar hua to kya
dīdār vaqt-e-naz.a mayassar huā to kyā
ab mā.il-e-karam vo sitamgar huā to kyā
jī uThte kushtagān-e-mohabbat to baat thī
barpā ḳhirām-e-nāz se mahshar huā to kyā
roz-e-azal rahā to sahī imtiyāz kuchh
ġham mere vāste jo muqaddar huā to kyā
sarmastiyoñ meñ kaif nahīñ hai to kuchh nahīñ
labrez agar sharāb se sāġhar huā to kyā
me.aar hī buland hai zauq-e-nigāh kā
aalam tamām husn kā manzar huā to kyā
maujūd vahshateñ bhī haiñ charḳh-e-kuhan bhī hai
ārām gardishoñ se jo dam bhar huā to kyā
un kī jafā se ḳhaak meñ āshiq to mil chuke
ab qissa ik jahāñ kī zabāñ par huā to kyā
ishq-e-jafā se yaar ko fursat na chāhiye
aalam qatīl-e-chashm-e-fusūñ-gar huā to kyā
vahshī kahīñ huī haiñ bhalā talḳhiyāñ bhī kam
dil apnā laakh ranj kā ḳhūgar huā to kyā
didar waqt-e-naza mayassar hua to kya
ab mail-e-karam wo sitamgar hua to kya
ji uThte kushtagan-e-mohabbat to baat thi
barpa KHiram-e-naz se mahshar hua to kya
roz-e-azal raha to sahi imtiyaz kuchh
gham mere waste jo muqaddar hua to kya
sarmastiyon mein kaif nahin hai to kuchh nahin
labrez agar sharab se saghar hua to kya
mear hi buland hai zauq-e-nigah ka
aalam tamam husn ka manzar hua to kya
maujud wahshaten bhi hain charKH-e-kuhan bhi hai
aaram gardishon se jo dam bhar hua to kya
un ki jafa se KHak mein aashiq to mil chuke
ab qissa ek jahan ki zaban par hua to kya
ishq-e-jafa se yar ko fursat na chahiye
aalam qatil-e-chashm-e-fusun-gar hua to kya
wahshi kahin hui hain bhala talKHiyan bhi kam
dil apna lakh ranj ka KHugar hua to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.