didani hai ye tamasha so Thaharna sain
dīdanī hai ye tamāsha so Thaharnā sā.īñ
ye mirā banñā sañvarnā ye bikharnā sā.īñ
saara din raqs-kunāñ rahnā bagūloñ kī tarah
shaam phir qasr-e-aziyyat meñ utarnā sā.īñ
sair-e-ġharnāta-o-baġhdād se fursat pā kar
mere sahrā se bhī ik roz guzarnā sā.īñ
haañ idhar aao ki miTTī meñ ruleñ ḳhaak ho leñ
shah-nashīnān-e-mohabbat haiñ udhar nā sā.īñ
zard paḌne lage sab tere talabgār-e-sitam
shāḳh-e-tūbā se koī dam meñ utarnā sā.īñ
jamne detā hī nahīñ mujh ko sukūt-e-shab meñ
bahtā rahtā hai tirī yaad kā jharnā sā.īñ
didani hai ye tamasha so Thaharna sain
ye mera banna sanwarna ye bikharna sain
sara din raqs-kunan rahna bagulon ki tarah
sham phir qasr-e-aziyyat mein utarna sain
sair-e-gharnata-o-baghdad se fursat pa kar
mere sahra se bhi ek roz guzarna sain
han idhar aao ki miTTi mein rulen KHak ho len
shah-nashinan-e-mohabbat hain udhar na sain
zard paDne lage sab tere talabgar-e-sitam
shaKH-e-tuba se koi dam mein utarna sain
jamne deta hi nahin mujh ko sukut-e-shab mein
bahta rahta hai teri yaad ka jharna sain
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 37)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.