didani jism-o-jaan ka rishta hai
dīdanī jism-o-jāñ kā rishta hai
ye samundar bhī kitnā gahrā hai
ghar ho yā ho nagar bahar-sūrat
aadmī to safar meñ rahtā hai
log to ajnabī nahīñ lekin
rāsta ajnabī sā lagtā hai
sāmne sar-phirī havāoñ ke
kab kisī kā charāġh jaltā hai
DhūñDhtī haiñ tujhe mirī āñkheñ
jab koī qāfila guzartā hai
log to aa.ine se Darte haiñ
aa.ina kab kisī se Dartā hai
koī aalam ho in dinoñ 'aḳhtar'
ek chehra nazar meñ rahtā hai
didani jism-o-jaan ka rishta hai
ye samundar bhi kitna gahra hai
ghar ho ya ho nagar bahar-surat
aadmi to safar mein rahta hai
log to ajnabi nahin lekin
rasta ajnabi sa lagta hai
samne sar-phiri hawaon ke
kab kisi ka charagh jalta hai
DhunDhti hain tujhe meri aankhen
jab koi qafila guzarta hai
log to aaine se Darte hain
aaina kab kisi se Darta hai
koi aalam ho in dinon 'aKHtar'
ek chehra nazar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.