dije nahin kisu ko to phir lijiye bhi nain
diije nahīñ kisū ko to phir lījiye bhī na.iñ
nekī na ban sake to badī kījiye bhī na.iñ
tauqīr-e-husn shart hai dil dene ke liye
gar husn hī na ho to kabhū rījhiye bhī na.iñ
hove agarche apnī sharāfat upar nigāh
hargiz badī ke kaam pe dil dījiye bhī na.iñ
īdhar se siite jaao aur ūdhar se phahTtā jaa.e
aise tarah ke kapḌe ko phir sījiye bhī na.iñ
denā dilānā saarā hai ik naam ke liye
gar naam bhī na ho to abas chhījiye bhī na.iñ
koī sā mo.āmla ho pahle chhān lījiye
yak-bārgī bhaḌak ke kabhū kījiye bhī na.iñ
mai kā mazā jabhī hai ki jab māh-rū ho paas
gar māh-rū na hove to mai pīji.e bhī na.iñ
dije nahin kisu ko to phir lijiye bhi nain
neki na ban sake to badi kijiye bhi nain
tauqir-e-husn shart hai dil dene ke liye
gar husn hi na ho to kabhu rijhiye bhi nain
howe agarche apni sharafat upar nigah
hargiz badi ke kaam pe dil dijiye bhi nain
idhar se site jao aur udhar se phahTta jae
aise tarah ke kapDe ko phir sijiye bhi nain
dena dilana sara hai ek nam ke liye
gar nam bhi na ho to abas chhijiye bhi nain
koi sa moamla ho pahle chhan lijiye
yak-bargi bhaDak ke kabhu kijiye bhi nain
mai ka maza jabhi hai ki jab mah-ru ho pas
gar mah-ru na howe to mai pijie bhi nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.