dimak tere firaq ki khati rahi mujhe
dīmak tere firāq kī khātī rahī mujhe
rah rah ke terī yaad satātī rahī mujhe
maiñ dasht ho gayā thā use soch soch kar
vo bhī samajh ke ḳhaak uḌātī rahī mujhe
us kī talab hī se maiñ gayā ḳhud-kushī kī samt
jo zindagī ke ghūñT pilātī rahī mujhe
ġharqāb ho chukā thā maiñ dariyā kī kokh meñ
aa aa ke koī mauj uThātī rahī mujhe
varna to sard raat meñ bujh hī gayā thā maiñ
koī havā-e-tez jalātī rahī mujhe
vo fikr marquez kī remedios thī
ḳhalvat ke sau sau saal jagātī rahī mujhe
haa.e vo terī aag se bachne kī koshisheñ
kin ātishoñ meñ gher ke laatī rahī mujhe
dimak tere firaq ki khati rahi mujhe
rah rah ke teri yaad satati rahi mujhe
main dasht ho gaya tha use soch soch kar
wo bhi samajh ke KHak uDati rahi mujhe
us ki talab hi se main gaya KHud-kushi ki samt
jo zindagi ke ghunT pilati rahi mujhe
gharqab ho chuka tha main dariya ki kokh mein
aa aa ke koi mauj uThati rahi mujhe
warna to sard raat mein bujh hi gaya tha main
koi hawa-e-tez jalati rahi mujhe
wo fikr marquez ki remedios thi
KHalwat ke sau sau sal jagati rahi mujhe
hae wo teri aag se bachne ki koshishen
kin aatishon mein gher ke lati rahi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.