din alag mazhab alag maslak alag shewa alag
diin alag maz.hab alag maslak alag sheva alag
ahl-e-duniyā se rahī har dam mirī duniyā alag
diin alag mujh se huā mujh se huī duniyā alag
kyā kahūñ tujh se alag ho kar huā kyā kyā alag
bazm-e-hastī meñ sukūñ hotā mayassar kis liye
zindagī ke ġham alag the maut kā khaTkā alag
nāzir-o-nazzāra meñ kyūñkar ho bāham irtibāt
'ishq kā 'ālam alag hai hosh kī duniyā alag
bār-e-ehsāñ kyoñ uThā.eñ ḳhizr kī taqlīd kā
ham nikāleñge ḳhud apnī ziist kā rasta alag
tū hai jugnū terī hastī hī sarāpā nuur hai
ho nahīñ saktā kabhī tujh se tirā jalva alag
hazrat-e-dil se nibhā.eñ kis tarah ham ai 'jalīs'
hai azal hī se mizāj is kā alag apnā alag
din alag mazhab alag maslak alag shewa alag
ahl-e-duniya se rahi har dam meri duniya alag
din alag mujh se hua mujh se hui duniya alag
kya kahun tujh se alag ho kar hua kya kya alag
bazm-e-hasti mein sukun hota mayassar kis liye
zindagi ke gham alag the maut ka khaTka alag
nazir-o-nazzara mein kyunkar ho baham irtibaat
'ishq ka 'alam alag hai hosh ki duniya alag
bar-e-ehsan kyon uThaen KHizr ki taqlid ka
hum nikalenge KHud apni zist ka rasta alag
tu hai jugnu teri hasti hi sarapa nur hai
ho nahin sakta kabhi tujh se tera jalwa alag
hazrat-e-dil se nibhaen kis tarah hum ai 'jalis'
hai azal hi se mizaj is ka alag apna alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.