dip jale to dip bujhane aate hain
diip jale to diip bujhāne aate haiñ
shahr ke saare log rulāne aate haiñ
dil kī kaliyāñ tere naam pe khiltī haiñ
taare bhī ab maañg sajāne aate haiñ
tum par ḳhushiyoñ ke saare hī mausam utreñ
ham ko saare dukh bahlāne aate haiñ
jaane kyā dekhā thā terī āñkhoñ meñ
jaane kyuuñ ab ḳhvāb suhāne aate haiñ
man-mandir meñ rakh kar terī mūrat ko
ham puujā kā diip jalāne aate haiñ
dip jale to dip bujhane aate hain
shahr ke sare log rulane aate hain
dil ki kaliyan tere nam pe khilti hain
tare bhi ab mang sajaane aate hain
tum par KHushiyon ke sare hi mausam utren
hum ko sare dukh bahlane aate hain
jaane kya dekha tha teri aankhon mein
jaane kyun ab KHwab suhane aate hain
man-mandir mein rakh kar teri murat ko
hum puja ka dip jalane aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.