diwana ban ke puchhte hain har kisi se hum
dīvāna ban ke pūchhte haiñ har kisī se ham
tang aa chukī hai zindagī yā zindagī se ham
apne hī shahr meñ koī pahchāntā nahīñ
tanhā khaḌe haiñ moḌ par ik ajnabī se ham
kyoñ kheltī hai ab bhī añdheroñ se zindagī
pūchheñge ye savāl kabhī raushnī se ham
jo chāñd ke qarīb hai insāniyat se duur
ummīd kyā rakheñ bhalā us aadmī se ham
jaane kā is jahāñ se hameñ koī ġham nahīñ
aa.e the yuuñ bhī kab bhalā apnī ḳhushī se ham
duniyā ne 'shauq' lākhoñ fasāne banā liye
bhūle se jab bhī guzre haiñ un kī galī se ham
fursat nahīñ ki soch sakeñ kal kī koī baat
uljhe haiñ 'shauq' is tarah kuchh aaj hī se ham
diwana ban ke puchhte hain har kisi se hum
tang aa chuki hai zindagi ya zindagi se hum
apne hi shahr mein koi pahchanta nahin
tanha khaDe hain moD par ek ajnabi se hum
kyon khelti hai ab bhi andheron se zindagi
puchhenge ye sawal kabhi raushni se hum
jo chand ke qarib hai insaniyat se dur
ummid kya rakhen bhala us aadmi se hum
jaane ka is jahan se hamein koi gham nahin
aae the yun bhi kab bhala apni KHushi se hum
duniya ne 'shauq' lakhon fasane bana liye
bhule se jab bhi guzre hain un ki gali se hum
fursat nahin ki soch saken kal ki koi baat
uljhe hain 'shauq' is tarah kuchh aaj hi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.