diwana ho ke naz kisi ke uThae kaun
diwana ho ke naz kisi ke uThae kaun
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
dīvāna ho ke naaz kisī ke uThā.e kaun
hai dil-lagī zarūr magar dil lagā.e kaun
ḳhaslat jafā-shi.ār hai un kī jatā.e kaun
jo aazmā liyā hai use āzmā.e kaun
saaqī nahīñ to hosh meñ rindoñ ko laa.e kaun
jām-o-subū hai sāmne lekin pilā.e kaun
maanā haram ke saa.e meñ yaksar bahisht hai
bazm-e-butāñ ko chhoḌ ke jaa.e to jaa.e kaun
ulfat kī aag baiThe-biThā.e lagā to lī
ab dekhnā ye hai ki lagī ko bujhā.e kaun
ḳhāmoshiyāñ nasīb-e-nazar par muhīt haiñ
ġham-āshnā huuñ giit mohabbat kā gaa.e kaun
hai roz imtihān jahāñ ke nasīb kā
kyā jāniye tumhārī nazar meñ samā.e kaun
ik chashm-e-mai-farosh hai masrūf-e-intiḳhāb
aise meñ ġham-nasīb ko ḳhātir meñ laa.e kaun
har yaas meñ rahe ho mire dil kā aasrā
hai dard kā sharīk tumhāre sivā.e kaun
phir taaza ho rahe haiñ ġham-e-ishq ke nishāñ
chhuptā nahīñ ye raaz to us ko chhupā.e kaun
hikmat zarūr hai pas-e-parda ba-fikr-e-'shād'
hotā nahīñ jo sāmne ho kar ḳhudā-e-kaun
diwana ho ke naz kisi ke uThae kaun
hai dil-lagi zarur magar dil lagae kaun
KHaslat jafa-shiar hai un ki jatae kaun
jo aazma liya hai use aazmae kaun
saqi nahin to hosh mein rindon ko lae kaun
jam-o-subu hai samne lekin pilae kaun
mana haram ke sae mein yaksar bahisht hai
bazm-e-butan ko chhoD ke jae to jae kaun
ulfat ki aag baiThe-biThae laga to li
ab dekhna ye hai ki lagi ko bujhae kaun
KHamoshiyan nasib-e-nazar par muhit hain
gham-ashna hun git mohabbat ka gae kaun
hai roz imtihan jahan ke nasib ka
kya jaaniye tumhaari nazar mein samae kaun
ek chashm-e-mai-farosh hai masruf-e-intiKHab
aise mein gham-nasib ko KHatir mein lae kaun
har yas mein rahe ho mere dil ka aasra
hai dard ka sharik tumhaare siwae kaun
phir taza ho rahe hain gham-e-ishq ke nishan
chhupta nahin ye raaz to us ko chhupae kaun
hikmat zarur hai pas-e-parda ba-fikr-e-'shad'
hota nahin jo samne ho kar KHuda-e-kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.