diwana-pan aur bekari milti hai
dīvāna-pan aur bekārī miltī hai
ishq meñ aksar aisī ḳhvārī miltī hai
log pata hai kyuuñ itne dīvāne haiñ
ik model se shakl tumhārī miltī hai
kabhī kabhī to sher bhī hone lagte haiñ
dil kī choT se ḳhush-guftārī miltī hai
life nahīñ hai bed-of-roses yaad rakho
rasta chalte sau dushvārī miltī hai
aur kisī se miltī hai vo shāmoñ ko
jis laḌkī se soch hamārī miltī hai
us ke naaz uThāne ko ham baiThe haiñ
dekhiye kab ye zimmedārī miltī hai
diwana-pan aur bekari milti hai
ishq mein aksar aisi KHwari milti hai
log pata hai kyun itne diwane hain
ek model se shakl tumhaari milti hai
kabhi kabhi to sher bhi hone lagte hain
dil ki choT se KHush-guftari milti hai
life nahin hai bed-of-roses yaad rakho
rasta chalte sau dushwari milti hai
aur kisi se milti hai wo shamon ko
jis laDki se soch hamari milti hai
us ke naz uThane ko hum baiThe hain
dekhiye kab ye zimmedari milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.