diwane apni rau mein jidhar bhi nikal paDe
dīvāne apnī rau meñ jidhar bhī nikal paḌe
Thokar jahāñ lagī vahīñ chashme ubal paḌe
be-iḳhtiyār aañkh se aañsū nikal paḌe
bachche khilaune dekh ke jab bhī machal paḌe
vo chup raheñ to jaise qayāmat kā ho sukūt
vo guftugū kareñ to samandar machal paḌe
tanhā.iyoñ se ham ko bahut hī lagāv thā
aaya tirā ḳhayāl to ghar se nikal paḌe
jab bhī huā hamārī vafāoñ kā tazkira
ham ashk ban ke un kī nigāhoñ se Dhal paḌe
sadiyoñ ke fāsle the magar muḳhtasar lage
rāheñ thiiñ jab bhañvar sī ḳhayāloñ meñ chal paḌe
bastī meñ apnī aisā bhī ik shaḳhs hai 'nazar'
jis ke badan ke lams se saa.e pighal paḌe
diwane apni rau mein jidhar bhi nikal paDe
Thokar jahan lagi wahin chashme ubal paDe
be-iKHtiyar aankh se aansu nikal paDe
bachche khilaune dekh ke jab bhi machal paDe
wo chup rahen to jaise qayamat ka ho sukut
wo guftugu karen to samandar machal paDe
tanhaiyon se hum ko bahut hi lagaw tha
aaya tera KHayal to ghar se nikal paDe
jab bhi hua hamari wafaon ka tazkira
hum ashk ban ke un ki nigahon se Dhal paDe
sadiyon ke fasle the magar muKHtasar lage
rahen thin jab bhanwar si KHayalon mein chal paDe
basti mein apni aisa bhi ek shaKHs hai 'nazar'
jis ke badan ke lams se sae pighal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.