diwane ki baaten sun kar chaunk paDe farzane log
dīvāne kī bāteñ sun kar chauñk paḌe farzāne log
muddat meñ pahchāne lekin phir bhī kyā pahchāne log
roz-o-shab talḳhāba-e-hastī shām-o-sahar ḳhūnāba-e-ġham
amrit kah kar pī lete haiñ zahr-bhare paimāne log
dil kā ye vīrān khañDar phir shahr-e-tarab ban jā.egā
kitne sundar sapne dekhā karte haiñ dīvāne log
ab vo aañkh kahāñ hai jis par hotī thī taḳhlīq ġhazal
ḳhvāb huiiñ vo bāteñ jin par likhte the afsāne log
vo bachpan ke sangī-sāthī vo bhī fasurda ham bhī udaas
yuuñ milte haiñ rasta chalte jaise hoñ begāne log
ek nazar māhaul pe Dāleñ 'māhir' ham phir ġhaur kareñ
muddat se sanjīda kyoñ haiñ āḳhir ye dīvāne log
diwane ki baaten sun kar chaunk paDe farzane log
muddat mein pahchane lekin phir bhi kya pahchane log
roz-o-shab talKHaba-e-hasti sham-o-sahar KHunaba-e-gham
amrit kah kar pi lete hain zahr-bhare paimane log
dil ka ye viran khanDar phir shahr-e-tarab ban jaega
kitne sundar sapne dekha karte hain diwane log
ab wo aankh kahan hai jis par hoti thi taKHliq ghazal
KHwab huin wo baaten jin par likhte the afsane log
wo bachpan ke sangi-sathi wo bhi fasurda hum bhi udas
yun milte hain rasta chalte jaise hon begane log
ek nazar mahaul pe Dalen 'mahir' hum phir ghaur karen
muddat se sanjida kyon hain aaKHir ye diwane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.