diwar iKHtilaf ki itni buland hai
dīvār iḳhtilāf kī itnī buland hai
rasman bhī ab salām-o-duā un se band hai
sach baat kah ke sab kī nazar se hue haiñ duur
thī kab ḳhabar zamāna ḳhushāmad-pasand hai
vāqif nahīñ zamāne kī haq baat se jo shaḳhs
duniyā samajh rahī hai use hosh-mand hai
ik dar pe sar jhukā ke ye izzat milī mujhe
duniyā ke sāmne mirā ab sar buland hai
sābit qadam rahoge mohabbat meñ ahd hai
yā sirf ye muāhida-e-tāshqand hai
‘ghā.il’ tumhāre baare meñ kahte haiñ ab bhī log
haiñ ḳhāmiyāñ bahut magar aḳhlāq-mand hai
diwar iKHtilaf ki itni buland hai
rasman bhi ab salam-o-dua un se band hai
sach baat kah ke sab ki nazar se hue hain dur
thi kab KHabar zamana KHushamad-pasand hai
waqif nahin zamane ki haq baat se jo shaKHs
duniya samajh rahi hai use hosh-mand hai
ek dar pe sar jhuka ke ye izzat mili mujhe
duniya ke samne mera ab sar buland hai
sabit qadam rahoge mohabbat mein ahd hai
ya sirf ye muahida-e-tashqand hai
‘ghail’ tumhaare bare mein kahte hain ab bhi log
hain KHamiyan bahut magar aKHlaq-mand hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.