diwar ke hue to kabhi dar ke ho gae
dīvār ke hue to kabhī dar ke ho ga.e
mere charāġh bād-e-sitamgar ke ho ga.e
maiñ is tarah se kūcha-e-vahshat kī ho ga.ī
mallāh jis tarah se samundar ke ho ga.e
us ke dil-o-nigāh kā kis se kareñ gila
us ke dil-o-nigāh to patthar ke ho ga.e
jo mujh ko chāhte the kabhī sar se paañv tak
dushman na jaane kyuuñ vo mire sar ke ho ga.e
jo tere pairahan kī mahak le ke aa.ī thī
ham to usī havā-e-mo.attar ke ho ga.e
maiñ terī ḳhushbūoñ kī talabgār jab huī
tere chaman ke phuul bhī patthar ke ho ga.e
ye kaisī gardisheñ haiñ ki arz-o-samā pe aaj
shams-o-qamar charāġh barābar ke ho ga.e
ḳheme jale charāġh bujhe aur is ke ba.ad
nezoñ pe sar-buland bahattar ke ho ga.e
bārish ko bādaloñ ko samundar ko chhoḌ kar
'afroz' ham to sāqī-e-kausar ke ho ga.e
diwar ke hue to kabhi dar ke ho gae
mere charagh baad-e-sitamgar ke ho gae
main is tarah se kucha-e-wahshat ki ho gai
mallah jis tarah se samundar ke ho gae
us ke dil-o-nigah ka kis se karen gila
us ke dil-o-nigah to patthar ke ho gae
jo mujh ko chahte the kabhi sar se panw tak
dushman na jaane kyun wo mere sar ke ho gae
jo tere pairahan ki mahak le ke aai thi
hum to usi hawa-e-moattar ke ho gae
main teri KHushbuon ki talabgar jab hui
tere chaman ke phul bhi patthar ke ho gae
ye kaisi gardishen hain ki arz-o-sama pe aaj
shams-o-qamar charagh barabar ke ho gae
KHeme jale charagh bujhe aur is ke baad
nezon pe sar-buland bahattar ke ho gae
barish ko baadalon ko samundar ko chhoD kar
'afroz' hum to saqi-e-kausar ke ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.