diwar kisi aur ki dar aur kisi ka
dīvār kisī aur kī dar aur kisī kā
mahsūs ye hotā hai nagar aur kisī kā
kaisā hai tire shahr meñ me’yār-e-fazīlat
dastār kisī aur kī sar aur kisī kā
hai pesh-e-nazar koī sila māñgne vaalā
lekin pas-e-parda hai hunar aur kisī kā
phir kaise bhalā dosto manzil mujhe miltī
tai maiñ ne kiyā jab ki safar aur kisī kā
sīñchā hai jinheñ ham ne 'nadīm' apne lahū se
lagtā hai daraḳhtoñ pe samar aur kisī kā
diwar kisi aur ki dar aur kisi ka
mahsus ye hota hai nagar aur kisi ka
kaisa hai tere shahr mein me’yar-e-fazilat
dastar kisi aur ki sar aur kisi ka
hai pesh-e-nazar koi sila mangne wala
lekin pas-e-parda hai hunar aur kisi ka
phir kaise bhala dosto manzil mujhe milti
tai main ne kiya jab ki safar aur kisi ka
sincha hai jinhen hum ne 'nadim' apne lahu se
lagta hai daraKHton pe samar aur kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.