diwar-o-dar ke aib ka meamar kya karen
dīvār-o-dar ke aib kā me.amār kyā kareñ
patthar alag alag haiñ to āsār kyā kareñ
kab se bhaTak rahe haiñ talabgār kyā kareñ
haa.il hue haiñ raah meñ kohsār kyā kareñ
afsos chhin gayā hai rivāyāt kā libās
uryāñ hue haiñ aaj ke ash.ār kyā kareñ
ab ḳhatt-e-mustaqīm haiñ rishtoñ ke dā.ere
markaz hī jab nahīñ hai to parkār kyā kareñ
baazū hī kaT ga.e haiñ to laḌne se fā.eda
ab ham kisī se maañg ke talvār kyā kareñ
sho.ale nahīñ ki jin ko bujhāyā na jā sake
jalne lageñ hurūf to fankār kyā kareñ
'shāhid' tamām shahr añdheroñ meñ kho gayā
ab imtiyāz-e-kūcha-o-bāzār kyā kareñ
diwar-o-dar ke aib ka meamar kya karen
patthar alag alag hain to aasar kya karen
kab se bhaTak rahe hain talabgar kya karen
hail hue hain rah mein kohsar kya karen
afsos chhin gaya hai riwayat ka libas
uryan hue hain aaj ke ashaar kya karen
ab KHatt-e-mustaqim hain rishton ke daere
markaz hi jab nahin hai to parkar kya karen
bazu hi kaT gae hain to laDne se faeda
ab hum kisi se mang ke talwar kya karen
shoale nahin ki jin ko bujhaya na ja sake
jalne lagen huruf to fankar kya karen
'shahid' tamam shahr andheron mein kho gaya
ab imtiyaz-e-kucha-o-bazar kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.