diwar-o-dar se chahe to rishta bana ke rakh
dīvār-o-dar se chāhe to rishta banā ke rakh
lekin burā na maane to dastak bachā ke rakh
tū āñdhiyoñ ke khel se vāqif nahīñ abhī
palkoñ ke taaq par na tū dīpak jalā ke rakh
ḳhāliq jo tū ne is ko banāyā hai gul-badan
phir hāsidoñ ke shar se bhī is ko bachā ke rakh
sun ai amīr-e-shahr maiñ momin mizāj huuñ
apnī munāfiqat se na mujh ko dabā ke rakh
dushman bhī ho to us ke halaq se utar sake
lahje ke jaam ko zarā mīThā banā ke rakh
phir se chanāb-e-hijr hai be-tāb kūza-gar
mere liye ghaḌā koī kachchā banā ke rakh
diwar-o-dar se chahe to rishta bana ke rakh
lekin bura na mane to dastak bacha ke rakh
tu aandhiyon ke khel se waqif nahin abhi
palkon ke taq par na tu dipak jala ke rakh
KHaliq jo tu ne is ko banaya hai gul-badan
phir hasidon ke shar se bhi is ko bacha ke rakh
sun ai amir-e-shahr main momin mizaj hun
apni munafiqat se na mujh ko daba ke rakh
dushman bhi ho to us ke halaq se utar sake
lahje ke jam ko zara miTha bana ke rakh
phir se chanab-e-hijr hai be-tab kuza-gar
mere liye ghaDa koi kachcha bana ke rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.