diwar-o-dar se dur hamara makan hai
dīvār-o-dar se duur hamārā makān hai
sar par hamāre dhuup kā ik sā.ebān hai
yaaro ġham-e-hayāt se be-e'tinā.ī kyā
aayā hai chañd din ke liye mehmān hai
kab se use rahī hai ḳharīdār kī talab
bāzār-e-zindagī meñ jo ġham kī dukān hai
kyoñ tark-e-ārzū ke liye kah rahe haiñ aap
shāyad ye aarzū to mohabbat kī jaan hai
dīvāngān-e-ishq kā kyā pūchhte ho haal
behāl ho ke bhī to ajab ān-bān hai
dekheñ unheñ to khīñch bulātā hai yā nahīñ
ai jazb-e-shauq aaj tirā imtihān hai
jaise kisī ḳhalā meñ kahīñ jī rahe haiñ log
'dānish' zamīñ hai ab na koī āsmān hai
diwar-o-dar se dur hamara makan hai
sar par hamare dhup ka ek saeban hai
yaro gham-e-hayat se be-e'tinai kya
aaya hai chand din ke liye mehman hai
kab se use rahi hai KHaridar ki talab
bazar-e-zindagi mein jo gham ki dukan hai
kyon tark-e-arzu ke liye kah rahe hain aap
shayad ye aarzu to mohabbat ki jaan hai
diwangan-e-ishq ka kya puchhte ho haal
behaal ho ke bhi to ajab aan-ban hai
dekhen unhen to khinch bulata hai ya nahin
ai jazb-e-shauq aaj tera imtihan hai
jaise kisi KHala mein kahin ji rahe hain log
'danish' zamin hai ab na koi aasman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.