diwar pe baiTha rahun par bandh ke apne
dīvār pe baiThā rahūñ par bāñdh ke apne
jaisā hai koī dast-e-hunar bāñdh ke apne
aġhyār kā lashkar thā magar pichhlī safoñ meñ
shamshīr-ba-kaf aa.e kamar bāñdh ke apne
milte haiñ kahīñ raat kī raanī se lipaT ke
kuchh saañp bhī shāḳhoñ se bhañvar bāñdh ke apne
tū sang uchhālegā magar terī galī meñ
aa jā.eñge ham zaḳhm-e-jigar bāñdh ke apne
ik roz tire dar se chale jā.eñge vāpas
ham ḳhāk-basar raḳht-e-safar bāñdh ke apne
diwar pe baiTha rahun par bandh ke apne
jaisa hai koi dast-e-hunar bandh ke apne
aghyar ka lashkar tha magar pichhli safon mein
shamshir-ba-kaf aae kamar bandh ke apne
milte hain kahin raat ki rani se lipaT ke
kuchh sanp bhi shaKHon se bhanwar bandh ke apne
tu sang uchhaalega magar teri gali mein
aa jaenge hum zaKHm-e-jigar bandh ke apne
ek roz tere dar se chale jaenge wapas
hum KHak-basar raKHt-e-safar bandh ke apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.