diwar ro rahi hai koi dar bhi KHush nahin
diwar ro rahi hai koi dar bhi KHush nahin
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
dīvār ro rahī hai koī dar bhī ḳhush nahīñ
kurlā rahī hai kuuñj kabūtar bhī ḳhush nahīñ
maidāñ meñ chhoḌ aa.e haiñ neze bhī Dhaal bhī
ye jang jiit kar mirā lashkar bhī ḳhush nahīñ
sahrā se merī vaise hī bantī na thī kabhī
dariyā ḳhafā hai mujh se samundar bhī ḳhush nahīñ
is āshiqī meñ sab ko barābar sila milā
aajiz hue haiñ ḳhvār to ḳhud-sar bhī ḳhush nahīñ
ai husn-e-bā-kamāl tire lams ke baġhair
kamra to aur chiiz hai bistar bhī ḳhush nahīñ
is khurdure libās se koī gila hī kyā
mujh se to merā reshmī paikar bhī ḳhush nahīñ
andar ke habs se haiñ tujhe mas.ale magar
tū hujra-e-vajūd ke bāhar bhī ḳhush nahīñ
duniyā meñ aa ke maiñ hī akelā nahīñ udaas
duniyā kī sair kar ke sikandar bhī ḳhush nahīñ
maiñ raqs kar rahā huuñ havā ho nahīñ rahā
nārāz haiñ malang qalandar bhī ḳhush nahīñ
aisī udāsiyoñ kā baserā hai in dinoñ
mujh sā faqīr aap se mil kar bhī ḳhush nahīñ
diwar ro rahi hai koi dar bhi KHush nahin
kurla rahi hai kunj kabutar bhi KHush nahin
maidan mein chhoD aae hain neze bhi Dhaal bhi
ye jang jit kar mera lashkar bhi KHush nahin
sahra se meri waise hi banti na thi kabhi
dariya KHafa hai mujh se samundar bhi KHush nahin
is aashiqi mein sab ko barabar sila mila
aajiz hue hain KHwar to KHud-sar bhi KHush nahin
ai husn-e-ba-kamal tere lams ke baghair
kamra to aur chiz hai bistar bhi KHush nahin
is khurdure libas se koi gila hi kya
mujh se to mera reshmi paikar bhi KHush nahin
andar ke habs se hain tujhe masale magar
tu hujra-e-wajud ke bahar bhi KHush nahin
duniya mein aa ke main hi akela nahin udas
duniya ki sair kar ke sikandar bhi KHush nahin
main raqs kar raha hun hawa ho nahin raha
naraaz hain malang qalandar bhi KHush nahin
aisi udasiyon ka basera hai in dinon
mujh sa faqir aap se mil kar bhi KHush nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.