diwaron ko dil se bahar rakhne wale
dīvāroñ ko dil se bāhar rakhne vaale
ham banjāre kāñdhe par ghar rakhne vaale
kuuch kā jab bhī gajar baje uTh kar chal deñge
bañdhā huā ham apnā bistar rakhne vaale
kaisī parvāzeñ kaisī āzād fazā.eñ
kunj-e-qafas meñ ḳhush haiñ shahpar rakhne vaale
aañch se jugnū kī chaTTāneñ sulag rahī haiñ
sho.ale ugaleñ mom kā paikar rakhne vaale
be-chehrā lamhe bhī ā.īna rakhte haiñ
pas-manzar haiñ apnā manzar rakhne vaale
nā-vāqif haiñ harfoñ kī tauqīr se 'aslam'
sheroñ meñ lafzoñ kā daftar rakhne vaale
diwaron ko dil se bahar rakhne wale
hum banjare kandhe par ghar rakhne wale
kuch ka jab bhi gajar baje uTh kar chal denge
bandha hua hum apna bistar rakhne wale
kaisi parwazen kaisi aazad fazaen
kunj-e-qafas mein KHush hain shahpar rakhne wale
aanch se jugnu ki chaTTanen sulag rahi hain
shoale ugalen mom ka paikar rakhne wale
be-chehra lamhe bhi aaina rakhte hain
pas-manzar hain apna manzar rakhne wale
na-waqif hain harfon ki tauqir se 'aslam'
sheron mein lafzon ka daftar rakhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.