diwaron se banti hai kab darwesho
dīvāroñ se bantī hai kab darvesho
aao shahr se kuuch kareñ ab darvesho
aane vaalā vaqt batā.egā ham ko
kis raste par kāTeñge shab darvesho
is dhartī kā chehra ḳhuun se lithḌā hai
tum harakat meñ aaoge kab darvesho
mujh ko bhī ik ramz ināyat ho jaa.e
mere baare bhī socho ab darvesho
mere ghar meñ maañ kī sāñseñ bastī haiñ
mere ghar meñ rahtā hai rab darvesho
un ke shahr meñ ik kuTiyā kī ḳhvāhish hai
itnā sā mil jaa.e mansab darvesho
andar ghor añdhere 'āsif' baste haiñ
bāhar raushan raushan hai sab darvesho
diwaron se banti hai kab darwesho
aao shahr se kuch karen ab darwesho
aane wala waqt bataega hum ko
kis raste par kaTenge shab darwesho
is dharti ka chehra KHun se lithDa hai
tum harakat mein aaoge kab darwesho
mujh ko bhi ek ramz inayat ho jae
mere bare bhi socho ab darwesho
mere ghar mein man ki sansen basti hain
mere ghar mein rahta hai rab darwesho
un ke shahr mein ek kuTiya ki KHwahish hai
itna sa mil jae mansab darwesho
andar ghor andhere 'asif' baste hain
bahar raushan raushan hai sab darwesho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.