dikha do gar mang apni shab ko to hashr barpa ho kahkashan par
dikha do gar mang apni shab ko to hashr barpa ho kahkashan par
Shah Naseer
MORE BYShah Naseer
dikhā do gar maañg apnī shab ko to hashr barpā ho kahkashāñ par
chuno jabīñ par kabhī jo afshāñ to nikleñ taare na āsmāñ par
nahīñ haiñ shabnam ke sub.h qatre ye barg-e-gul-hā-e-bostāñ par
ba-yād-e-ātish-ruḳhāñ phaphūle paḌe haiñ har phuul kī zabāñ par
kahāñ sar-e-sham.a par hai sho.ala nigāh Tuk kiije sham.a-dāñ par
ki ustuḳhāñ hai ġhizā hamārī humā ye baiThā hai ustuḳhāñ par
asīr-e-nau kī ḳhabar le aa kar zarā tū sayyād-e-zulm-pesha
yahāñ talak huuñ qafas meñ taḌpā ki mere saare haiñ dhajjiyāñ par
hamāre is rū-e-zard par jo sarishk-e-afshāñ hai abr-e-mizhgāñ
na dekhī laalī kabhī barastī kisī ne yuuñ kisht-e-za.afarāñ par
koī ġharīboñ ke mārne se havā bañdhī hai kisī kī zālim
agar sulaimān-e-vaqt hai to qadam na rakh mor-e-nā-tavāñ par
banā ke ā.īna saaf us ko kiyā hai husn-e-adā se vāqif
ilāhī ā.īna-sāz kī ab shitāb patthar paḌe zabāñ par
jahāñ meñ us ke shahīd kā ho na kyūñki rutba buland yaaro
yahī hai me.arāj āshiqoñ kī jo sar ho ba.ad-az-fanā sināñ par
kare chaman meñ na kyūñki barpā tirā ye buuTā sā qad qayāmat
nisār āñkhoñ pe kyā hai nargis ki ġhuncha qurbān hai dahāñ par
rahī hai bazm-e-jahāñ meñ mun.im sadā bulandī ke saath pastī
bisān-e-favvāra qasd mat kar zamīñ se jaane kā āsmāñ par
safar adam kā kahāñ kare hai ye bahr-e-hastī se ek dam meñ
hubāb chashmak-zanī kare hai ḳhizar tirī umr-e-jāvedāñ par
umiid kyā charḳh-e-sifla-parvar hameñ ho ab tujh se ek naañ kī
ki tere hāthoñ se māh-e-nau ne yahāñ qanā.at kī niim naañ par
'nasīr' kahte to sab yahāñ haiñ ki us ke āshiq haiñ ham va-lekin
baḌā sitam ho baḌā ġhazab ho agar vo aa jaa.e imtihāñ par
dikha do gar mang apni shab ko to hashr barpa ho kahkashan par
chuno jabin par kabhi jo afshan to niklen tare na aasman par
nahin hain shabnam ke subh qatre ye barg-e-gul-ha-e-bostan par
ba-yaad-e-atish-ruKHan phaphule paDe hain har phul ki zaban par
kahan sar-e-shama par hai shoala nigah Tuk kije shama-dan par
ki ustuKHan hai ghiza hamari huma ye baiTha hai ustuKHan par
asir-e-nau ki KHabar le aa kar zara tu sayyaad-e-zulm-pesha
yahan talak hun qafas mein taDpa ki mere sare hain dhajjiyan par
hamare is ru-e-zard par jo sarishk-e-afshan hai abr-e-mizhgan
na dekhi lali kabhi barasti kisi ne yun kisht-e-zafaran par
koi gharibon ke marne se hawa bandhi hai kisi ki zalim
agar sulaiman-e-waqt hai to qadam na rakh mor-e-na-tawan par
bana ke aaina saf us ko kiya hai husn-e-ada se waqif
ilahi aaina-saz ki ab shitab patthar paDe zaban par
jahan mein us ke shahid ka ho na kyunki rutba buland yaro
yahi hai mearaj aashiqon ki jo sar ho baad-az-fana sinan par
kare chaman mein na kyunki barpa tera ye buTa sa qad qayamat
nisar aankhon pe kya hai nargis ki ghuncha qurban hai dahan par
rahi hai bazm-e-jahan mein munim sada bulandi ke sath pasti
bisan-e-fawwara qasd mat kar zamin se jaane ka aasman par
safar adam ka kahan kare hai ye bahr-e-hasti se ek dam mein
hubab chashmak-zani kare hai KHizar teri umr-e-jawedan par
umid kya charKH-e-sifla-parwar hamein ho ab tujh se ek nan ki
ki tere hathon se mah-e-nau ne yahan qanaat ki nim nan par
'nasir' kahte to sab yahan hain ki us ke aashiq hain hum wa-lekin
baDa sitam ho baDa ghazab ho agar wo aa jae imtihan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.