dikhati hai meri tahrir eajaz-e-raqam mera
dikhati hai meri tahrir eajaz-e-raqam mera
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
dikhātī hai mirī tahrīr e.ajāz-e-raqam merā
zabān-e-be-zabāñ ban ban ke chaltā hai qalam merā
huā hai vaj.h-e-barbādī vajūd-e-kal-adam merā
milātā hai mujhe miTTī meñ har naqsh-e-qadam merā
subuk hūñgā na qātil kī subukdastī ke ehsāñ se
rahegā roz-e-mahshar bhī sar-e-taslīm ḳham merā
gul-e-dāġh-e-jigar kī qadr jannat meñ huī jā kar
bahut mushtāq niklā bāġh-e-firdaus-o-iram merā
na hone paa.ī laġhzish imtihāñ-gāh-e-mohabbat meñ
ḳhudā kā shukr hai sābit qadam niklā qadam merā
na jiine kī ḳhushī mujh ko na kuchh marne kā andesha
mire nazdīk to yaksāñ hai hastī-o-adam merā
kiyā betāb unheñ bhī garmī-e-soz-e-mohabbat ne
mujhī tak ab nahīñ mahdūd ai dil ranj-o-ġham merā
na aaya marte marte shikva-e-jaur-e-nihāñ lab tak
qayāmat tak kareñge tazkira ahl-e-sitam merā
charāġhāñ ka.aba-e-dil meñ kiyā 'mas.ūd' dāġhoñ ne
na dekhe rashk se muñh kis tarah sham-e-haram merā
dikhati hai meri tahrir eajaz-e-raqam mera
zaban-e-be-zaban ban ban ke chalta hai qalam mera
hua hai wajh-e-barbaadi wajud-e-kal-adam mera
milata hai mujhe miTTi mein har naqsh-e-qadam mera
subuk hunga na qatil ki subukdasti ke ehsan se
rahega roz-e-mahshar bhi sar-e-taslim KHam mera
gul-e-dagh-e-jigar ki qadr jannat mein hui ja kar
bahut mushtaq nikla bagh-e-firdaus-o-iram mera
na hone pai laghzish imtihan-gah-e-mohabbat mein
KHuda ka shukr hai sabit qadam nikla qadam mera
na jine ki KHushi mujh ko na kuchh marne ka andesha
mere nazdik to yaksan hai hasti-o-adam mera
kiya betab unhen bhi garmi-e-soz-e-mohabbat ne
mujhi tak ab nahin mahdud ai dil ranj-o-gham mera
na aaya marte marte shikwa-e-jaur-e-nihan lab tak
qayamat tak karenge tazkira ahl-e-sitam mera
charaghan kaba-e-dil mein kiya 'masud' daghon ne
na dekhe rashk se munh kis tarah sham-e-haram mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.