dikhawe ki hai jo har-su ye gham-KHwari adakari
dikhāve kī hai jo har-sū ye ġham-ḳhvārī adākārī
jahāñ dekho dikhā.ī de riyā-kārī adākārī
anā ke ma.anī-o-mafhūm se vāqif nahīñ haiñ jo
samajhte haiñ hamesha merī ḳhuddārī adākārī
maiñ jis ke sāmne rone nahīñ detā huuñ āñkhoñ ko
vo kahtā hai mirī āñkhoñ kī lāchārī adākārī
use to apne chehre par lagāne haiñ ka.ī chehre
bhalā kaise kare sach kī taraf-dārī adākārī
ḳhudā ma.asūm hī sab bhejtā hai apnī duniyā meñ
kahāñ ham sīkhte haiñ jā ke makkārī adākārī
tire stage par mujh ko baḌe kirdār jiine haiñ
mire mālik abhī mujh par rahe taarī adākārī
mirī ḳhush-qismatī kahiye ki sarkārī mulāzim huuñ
maiñ har pal dekhtā rahtā huuñ sarkārī adākārī
maiñ 'shāhid' ho ke kaise jhuuT se rishte nibhā.ūñgā
samajhtī hai mire andar kī bīmārī adākārī
dikhawe ki hai jo har-su ye gham-KHwari adakari
jahan dekho dikhai de riya-kari adakari
ana ke mani-o-mafhum se waqif nahin hain jo
samajhte hain hamesha meri KHuddari adakari
main jis ke samne rone nahin deta hun aankhon ko
wo kahta hai meri aankhon ki lachaari adakari
use to apne chehre par lagane hain kai chehre
bhala kaise kare sach ki taraf-dari adakari
KHuda masum hi sab bhejta hai apni duniya mein
kahan hum sikhte hain ja ke makkari adakari
tere stage par mujh ko baDe kirdar jine hain
mere malik abhi mujh par rahe tari adakari
meri KHush-qismati kahiye ki sarkari mulazim hun
main har pal dekhta rahta hun sarkari adakari
main 'shahid' ho ke kaise jhuT se rishte nibhaunga
samajhti hai mere andar ki bimari adakari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.