dikhaya jo mujhe darpan ghalat tha
dikhaya jo mujhe darpan ghalat tha
Gunjan Nagar Shayar Bakar
MORE BYGunjan Nagar Shayar Bakar
dikhāyā jo mujhe darpan ġhalat thā
tabhī to saarā vishleshan ġhalat thā
tumhārā sab kiyā to Thiik thā par
hamāre biich kā mishran ġhalat thā
hue puure nahīñ kyoñ ḳhvāb samjho
dishā to Thiik thī chitran ġhalat thā
maiñ itnī martaba jiitā to mujh ko
samajh meñ aaya ke vo ran ġhalat thā
tumhārā duur bhī jaane kā sājan
tarīqa jo bhī ho kāran ġhalat thā
tire ilzāmoñ se lagne lagā thā
mere is prem kā kan kan ġhalat thā
agar sab kuchh yahāñ prārabdh hai to
batāo phir kahāñ rāvan ġhalat thā
mujhe manzūr sab ilzām hote
magar ilzām kā vivran ġhalat thā
dikhaya jo mujhe darpan ghalat tha
tabhi to sara wishleshan ghalat tha
tumhaara sab kiya to Thik tha par
hamare bich ka mishran ghalat tha
hue pure nahin kyon KHwab samjho
disha to Thik thi chitran ghalat tha
main itni martaba jita to mujh ko
samajh mein aaya ke wo ran ghalat tha
tumhaara dur bhi jaane ka sajan
tariqa jo bhi ho karan ghalat tha
tere ilzamon se lagne laga tha
mere is prem ka kan kan ghalat tha
agar sab kuchh yahan prarabdh hai to
batao phir kahan rawan ghalat tha
mujhe manzur sab ilzam hote
magar ilzam ka wiwran ghalat tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.