dikhla rahe ho lutf-e-bahaar-o-KHizan tumhin
dikhla rahe ho lutf-e-bahaar-o-KHizan tumhin
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
dikhlā rahe ho lutf-e-bahār-o-ḳhizāñ tumhīñ
gul ho tumhīñ chaman ho tumhīñ bāġhbāñ tumhīñ
āñkhoñ meñ misl-e-rang-e-chaman ho ayaañ tumhīñ
dil meñ ho bū-e-gul kī tarah se zabāñ tumhīñ
kaisā hijāb kahte haiñ duniyā meñ kis ko husn
dar-parda le rahe ho mirā imtihāñ tumhīñ
dair-o-haram bhare haiñ tumhāre hī zikr se
donoñ jagah ho bā.is-e-shor-o-fuġhāñ tumhīñ
dariyā-e-ġham meñ Dūbne doge kisī ko kab
ho nā-ḳhudā-e-kashtī-e-be-bādbāñ tumhīñ
kis se kahūñ tumhāre sivā apne dil kī baat
mere to ho aniis tumhīñ rāz-dāñ tumhīñ
ham jānte haiñ saf.ha-e-hastī se rāt-din
har ek kā miTāte ho nām-o-nishāñ tumhīñ
ab jism-o-jāñ ko bhī nahīñ pahchāntā 'vahīd'
rahte ho us ke jism meñ mānind-e-jāñ tumhīñ
dikhla rahe ho lutf-e-bahaar-o-KHizan tumhin
gul ho tumhin chaman ho tumhin baghban tumhin
aankhon mein misl-e-rang-e-chaman ho ayan tumhin
dil mein ho bu-e-gul ki tarah se zaban tumhin
kaisa hijab kahte hain duniya mein kis ko husn
dar-parda le rahe ho mera imtihan tumhin
dair-o-haram bhare hain tumhaare hi zikr se
donon jagah ho bais-e-shor-o-fughan tumhin
dariya-e-gham mein Dubne doge kisi ko kab
ho na-KHuda-e-kashti-e-be-baadban tumhin
kis se kahun tumhaare siwa apne dil ki baat
mere to ho anis tumhin raaz-dan tumhin
hum jaante hain safha-e-hasti se raat-din
har ek ka miTate ho nam-o-nishan tumhin
ab jism-o-jaan ko bhi nahin pahchanta 'wahid'
rahte ho us ke jism mein manind-e-jaan tumhin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.