dikhlae na kyon hashr ka aalam shab-e-furqat
dikhlae na kyon hashr ka aalam shab-e-furqat
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni
dikhlā.e na kyoñ hashr kā aalam shab-e-furqat
kuchh roz-e-qayāmat se nahīñ kam shab-e-furqat
barpā na ho kyoñ shevan-o-mātam shab-e-furqat
hai haq meñ mire roz-e-moharram shab-e-furqat
kartā hai falak dekh ke hālat mirī zaarī
ye charḳh se girtī nahīñ shabnam shab-e-furqat
ghabrā na bahut sā vo ab aatā hai ab aatā
detā huuñ dil-e-zār ko yuuñ dam shab-e-furqat
haiñ muḳhtalif alfāz magar ek haiñ ma.anī
zindāñ malak-ul-maut jahannam shab-e-furqat
maujūd ho jis meñ ki har ik tarah kī tā'zīb
sab kahte haiñ dozaḳh use aur ham shab-e-furqat
dil meñ mire mar jaate haiñ armān hazāroñ
barpā na hoñ kyuuñ na.ara-e-mātam shab-e-furqat
duniyā meñ sadā ranj se rāhat hai mo.aḳhḳhar
aur vasl kī shab par hai muqaddam shab-e-furqat
siina mirā kar detī hai afgār sitam-gar
sohrāb huuñ maiñ aur hai rustam shab-e-furqat
kyā pūchhtā hai kaun tire darpa.e-jāñ hai
ai monis-e-jāñ aur mirī hamdam shab-e-furqat
ai 'sehr' nahīñ jaan kī ab ḳhair tumhārī
aatī rahī gar yūñhī ye paiham shab-e-furqat
dikhlae na kyon hashr ka aalam shab-e-furqat
kuchh roz-e-qayamat se nahin kam shab-e-furqat
barpa na ho kyon shewan-o-matam shab-e-furqat
hai haq mein mere roz-e-moharram shab-e-furqat
karta hai falak dekh ke haalat meri zari
ye charKH se girti nahin shabnam shab-e-furqat
ghabra na bahut sa wo ab aata hai ab aata
deta hun dil-e-zar ko yun dam shab-e-furqat
hain muKHtalif alfaz magar ek hain mani
zindan malak-ul-maut jahannam shab-e-furqat
maujud ho jis mein ki har ek tarah ki ta'zib
sab kahte hain dozaKH use aur hum shab-e-furqat
dil mein mere mar jate hain arman hazaron
barpa na hon kyun nara-e-matam shab-e-furqat
duniya mein sada ranj se rahat hai moaKHKHar
aur wasl ki shab par hai muqaddam shab-e-furqat
sina mera kar deti hai afgar sitam-gar
sohrab hun main aur hai rustam shab-e-furqat
kya puchhta hai kaun tere darpae-jaan hai
ai monis-e-jaan aur meri hamdam shab-e-furqat
ai 'sehr' nahin jaan ki ab KHair tumhaari
aati rahi gar yunhi ye paiham shab-e-furqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.