dil ab us dil-shikan ke pas kahan
dil ab us dil-shikan ke paas kahāñ
chiil ke ghoñsle meñ maas kahāñ
sabr bīmār-e-ishq kī hai davā
par tabī.at se merī raas kahāñ
sub.h aane kā us ke vaada hai
mujh ko par raat bhar kī aas kahāñ
dushman-e-jāñ ko dost samjhā maiñ
vo kahāñ maiñ kahāñ qayās kahāñ
kyā huā us ko dekhte hī 'bayāñ'
hosh kīdhar ga.e havās kahāñ
dil ab us dil-shikan ke pas kahan
chil ke ghonsle mein mas kahan
sabr bimar-e-ishq ki hai dawa
par tabiat se meri ras kahan
subh aane ka us ke wada hai
mujh ko par raat bhar ki aas kahan
dushman-e-jaan ko dost samjha main
wo kahan main kahan qayas kahan
kya hua us ko dekhte hi 'bayan'
hosh kidhar gae hawas kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.