dil agar dil hai to har haal mein ruswa hoga
dil agar dil hai to har haal meñ rusvā hogā
jab ġham-e-ishq na hogā ġham-e-duniyā hogā
aql Dartī hai ma.āl-e-ġham-e-dil kyā hogā
ishq kahtā hai ki har haal meñ jiinā hogā
luT gayā ishq kī nazroñ kā vo sāmān-e-shakeb
ab tirā husn jahāñ bhī ho tamāshā hogā
sāz-e-dil tishna-e-mizrāb hai māyūs na ho
ek din naġhma-e-ummīd bhī paidā hogā
shab-e-ġham aah ye andoh ye uljhan ye taḌap
sochtā huuñ ki ma.āl-e-shab-e-ġham kyā hogā
dil hai aur talḳhī-e-ġham haath haiñ aur sāġhar-e-mai
kyā ḳhabar thī hameñ ye zahr bhī piinā hogā
vo dilā.eñ to jafāoñ ke tasalsul kā yaqīñ
is se baḌh kar koī in.ām-e-vafā kyā hogā
aane vaalī hai mohabbat kī vo manzil 'shāhid'
jab hameñ yaas pe ummīd kā dhokā hogā
dil agar dil hai to har haal mein ruswa hoga
jab gham-e-ishq na hoga gham-e-duniya hoga
aql Darti hai maal-e-gham-e-dil kya hoga
ishq kahta hai ki har haal mein jina hoga
luT gaya ishq ki nazron ka wo saman-e-shakeb
ab tera husn jahan bhi ho tamasha hoga
saz-e-dil tishna-e-mizrab hai mayus na ho
ek din naghma-e-ummid bhi paida hoga
shab-e-gham aah ye andoh ye uljhan ye taDap
sochta hun ki maal-e-shab-e-gham kya hoga
dil hai aur talKHi-e-gham hath hain aur saghar-e-mai
kya KHabar thi hamein ye zahr bhi pina hoga
wo dilaen to jafaon ke tasalsul ka yaqin
is se baDh kar koi inam-e-wafa kya hoga
aane wali hai mohabbat ki wo manzil 'shahid'
jab hamein yas pe ummid ka dhoka hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.