dil agar ishq ka shikar nahin
dil agar ishq kā shikār nahīñ
jalva-gāh-e-jamāl-e-yār nahīñ
dhoke khaa.e haiñ is qadar dil ne
ab nazar par bhī e.atibār nahīñ
dard letā hai karvaTeñ paiham
kisī pahlū bhī ab qarār nahīñ
ye sulagtī hai andar andar hī
ātish-e-ishq sho.ala-bār nahīñ
be-ḳhudī shauq kī ma.āz-allāh
sāmne vo aur e.atibār nahīñ
bas bas ai vahshat-e-dilī bas bas
jeb meñ baaqī ek taar nahīñ
ham se nākāmoñ kī javānī kyā
hai ḳhizāñ hī ḳhizāñ bahār nahīñ
mohtasib kyoñ chhupe haiñ bint-e-inab
terī niyyat kā e.atibār nahīñ
hai ishāre kuchh aur āñkhoñ ke
muñh se kah deñ vo laakh baar nahīñ
ik havā hai chalī chalī na chalī
zindagī kā kuchh e.atibār nahīñ
un kī bātoñ meñ aa ga.e 'navvāb'
jin kī bātoñ kā e.atibār nahīñ
dil agar ishq ka shikar nahin
jalwa-gah-e-jamal-e-yar nahin
dhoke khae hain is qadar dil ne
ab nazar par bhi eatibar nahin
dard leta hai karwaTen paiham
kisi pahlu bhi ab qarar nahin
ye sulagti hai andar andar hi
aatish-e-ishq shoala-bar nahin
be-KHudi shauq ki maaz-allah
samne wo aur eatibar nahin
bas bas ai wahshat-e-dili bas bas
jeb mein baqi ek tar nahin
hum se nakaamon ki jawani kya
hai KHizan hi KHizan bahaar nahin
mohtasib kyon chhupe hain bint-e-inab
teri niyyat ka eatibar nahin
hai ishaare kuchh aur aankhon ke
munh se kah den wo lakh bar nahin
ek hawa hai chali chali na chali
zindagi ka kuchh eatibar nahin
un ki baaton mein aa gae 'nawwab'
jin ki baaton ka eatibar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.