dil ai dil ye tarz nahin kuchh ishq ke ohde-daron ki
dil ai dil ye tarz nahin kuchh ishq ke ohde-daron ki
Bimal Krishn Ashk
MORE BYBimal Krishn Ashk
dil ai dil ye tarz nahīñ kuchh ishq ke ohde-dāroñ kī
sunte ho majbūroñ kī aur kahte ho muḳhtāroñ kī
phir maujoñ se chīḳh sī uTThī mujh ko to ye dhokā hai
ga.ī raat bhī patvāroñ se ḳhuub nibhī mañjdhāroñ kī
yaad dilā dī hai sūraj ke ās-pās ik badlī ne
kaalī qamīsoñ ke saa.e meñ dhuup saped ġharāroñ kī
pīpal ke pattoñ ke saa.e kab tak tumheñ sarāheñge
ek na ik din qismat jaag uThegī rāh-guzāroñ kī
ai gul-e-dāman-e-rashk-e-gulistāñ ham se hamārā haal na pūchh
sehn-e-chaman ke vīrānoñ meñ sūrat dekh bahāroñ kī
ik bujhtī lakḌī se ik sho.ala lahrāyā hai jis vaqt
ḳhāna-ba-doshoñ ke ḳheme meñ baat chhiḌī maTiyāroñ kī
tere hijr meñ jaam na khankeñ patta na khaḌke aah na ho
kis dariyā meñ Duub mareñ āvāzeñ chaukī-dāroñ kī
us be-ruḳh ne bedardī se rātoñ rātoñ rulvāyā
dard kā had se baḌh jaanā Thahrī jo davā bīmāroñ kī
aao ik do pal sustā leñ maazī kī dīvār tale
sej bhī hai nauras kaliyoñ kī barkhā bhī añgāroñ kī
aise kahāñ nasīb hamāre bāyāñ añg phaḌak uTThe
kaun ḳhabar hai dukhiyā jaag meñ ham paapī dukhiyāroñ kī
ham ko kisī se gilā nahīñ hai jaan ga.e pahchān ga.e
vīrāñ diloñ ke vīrāne haiñ duniyā duniyā-dāroñ kī
ek zamāna guzrā ham bhī tere shahr ke baasī the
aaj bhī āñkhoñ meñ phirtī hai sūrat tere dayāroñ kī
go qadmoñ se judā hue vo rāh-guzāreñ der huī
lekin dil par jam sī ga.ī hai dhuul in rāh-guzāroñ kī
ḳhair un dinoñ to chāk-garebānoñ kī izzat hotī thī
aaj to ḳhair se tere shahr meñ izzat hai dastāroñ kī
'ashk' mire ash.ār ke ātish-pāroñ se dhīre dhīre
bastī bastī phail rahī hai aañch in ke ruḳhsāroñ kī
dil ai dil ye tarz nahin kuchh ishq ke ohde-daron ki
sunte ho majburon ki aur kahte ho muKHtaron ki
phir maujon se chiKH si uTThi mujh ko to ye dhoka hai
gai raat bhi patwaron se KHub nibhi manjdhaaron ki
yaad dila di hai suraj ke aas-pas ek badli ne
kali qamison ke sae mein dhup saped ghararon ki
pipal ke patton ke sae kab tak tumhein sarahenge
ek na ek din qismat jag uThegi rah-guzaron ki
ai gul-e-daman-e-rashk-e-gulistan hum se hamara haal na puchh
sehn-e-chaman ke viranon mein surat dekh bahaaron ki
ek bujhti lakDi se ek shoala lahraya hai jis waqt
KHana-ba-doshon ke KHeme mein baat chhiDi maTiyaron ki
tere hijr mein jam na khanken patta na khaDke aah na ho
kis dariya mein Dub maren aawazen chauki-daron ki
us be-ruKH ne bedardi se raaton raaton rulwaya
dard ka had se baDh jaana Thahri jo dawa bimaron ki
aao ek do pal susta len mazi ki diwar tale
sej bhi hai nauras kaliyon ki barkha bhi angaron ki
aise kahan nasib hamare bayan ang phaDak uTThe
kaun KHabar hai dukhiya jag mein hum papi dukhiyaron ki
hum ko kisi se gila nahin hai jaan gae pahchan gae
viran dilon ke virane hain duniya duniya-daron ki
ek zamana guzra hum bhi tere shahr ke basi the
aaj bhi aankhon mein phirti hai surat tere dayaron ki
go qadmon se juda hue wo rah-guzaren der hui
lekin dil par jam si gai hai dhul in rah-guzaron ki
KHair un dinon to chaak-garebanon ki izzat hoti thi
aaj to KHair se tere shahr mein izzat hai dastaron ki
'ashk' mere ashaar ke aatish-paron se dhire dhire
basti basti phail rahi hai aanch in ke ruKHsaron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.